hamare par hain shikasta uDan baqi hai
hamāre par haiñ shikasta uḌaan baaqī hai
nayā hai azm-e-safar ān-bān baaqī hai
tumhārā faisla manzūr ho mujhe kaise
abhī to hone ko merā bayān baaqī hai
vatan pe saiñkaḌoñ jāneñ nisār kar deñge
diloñ meñ azmat-e-hindostān baaqī hai
ye kam nahīñ ki zamāne meñ aaj zinda huuñ
ki do jahāñ meñ mirā mehrbān baaqī hai
tum apne tīr-e-nazar bārhā chalāte raho
abhī to jism meñ kuchh aur jaan baaqī hai
ye kah ke lete haiñ mere mazār ke bose
yahī to ahl-e-vafā kā nishān baaqī hai
hamāre vāste koī bhī chhat nahīñ hai 'mayank'
hamāre sar pe magar āsmān baaqī hai
hamare par hain shikasta uDan baqi hai
naya hai azm-e-safar aan-ban baqi hai
tumhaara faisla manzur ho mujhe kaise
abhi to hone ko mera bayan baqi hai
watan pe sainkaDon jaanen nisar kar denge
dilon mein azmat-e-hindostan baqi hai
ye kam nahin ki zamane mein aaj zinda hun
ki do jahan mein mera mehrban baqi hai
tum apne tir-e-nazar barha chalate raho
abhi to jism mein kuchh aur jaan baqi hai
ye kah ke lete hain mere mazar ke bose
yahi to ahl-e-wafa ka nishan baqi hai
hamare waste koi bhi chhat nahin hai 'mayank'
hamare sar pe magar aasman baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.