hamare samne jo muskura ke chalte hain
hamāre sāmne jo muskurā ke chalte haiñ
firāq-e-yār meñ vo karvaTeñ badalte haiñ
vo jin ke ātish-e-ulfat se dil pighalte haiñ
so un kī āñkhoñ se aañsū bajā nikalte haiñ
tumheñ ḳhudā ne banāyā hai sang-e-marmar se
tumhāre jism pe shams-o-qamar phisalte haiñ
vo aur haiñ jo bahakte haiñ jaam pī pī kar
ham ahl-e-zarf ke pī kar qadam sañbhalte haiñ
hamārī tishna-labī kā imaam saaqī hai
hamāre jaise sabhī mai-kadoñ meñ palte haiñ
nasīb hotī hai ash.ār meñ farāvānī
zamīn-e-fikr pe jab eḌiyāñ masalte haiñ
tumhāre ashk bhī nāzuk-mizāj haiñ jānāñ
nikal ke aañkh se ruḳhsār par machalte haiñ
tū goyā ho to zamīñ āsmān raqs kare
tū chup rahe to zamānoñ ke dil dahalte haiñ
vo ho gayā hai takabbur kī beḌiyoñ meñ asiir
use ḳhabar hī nahīñ āftāb Dhalte haiñ
tumhāre jaane se kaliyoñ kā dam nikaltā hai
tumhāre aane se gulshan meñ phuul khilte haiñ
mire uruuj kā mehvar hai sādgī merī
vo is liye to mirī sādgī se jalte haiñ
hamare samne jo muskura ke chalte hain
firaq-e-yar mein wo karwaTen badalte hain
wo jin ke aatish-e-ulfat se dil pighalte hain
so un ki aankhon se aansu baja nikalte hain
tumhein KHuda ne banaya hai sang-e-marmar se
tumhaare jism pe shams-o-qamar phisalte hain
wo aur hain jo bahakte hain jam pi pi kar
hum ahl-e-zarf ke pi kar qadam sanbhalte hain
hamari tishna-labi ka imam saqi hai
hamare jaise sabhi mai-kadon mein palte hain
nasib hoti hai ashaar mein farawani
zamin-e-fikr pe jab eDiyan masalte hain
tumhaare ashk bhi nazuk-mizaj hain jaanan
nikal ke aankh se ruKHsar par machalte hain
tu goya ho to zamin aasman raqs kare
tu chup rahe to zamanon ke dil dahalte hain
wo ho gaya hai takabbur ki beDiyon mein asir
use KHabar hi nahin aaftab Dhalte hain
tumhaare jaane se kaliyon ka dam nikalta hai
tumhaare aane se gulshan mein phul khilte hain
mere uruj ka mehwar hai sadgi meri
wo is liye to meri sadgi se jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.