hamare sath chalna chahta hai
hamāre saath chalnā chāhtā hai
vo ab kapḌe badalnā chāhtā hai
use phūloñ se hai koī shikāyat
vo angāroñ pe chalnā chāhtā hai
Thahar jaate haiñ palkoñ par sitāre
koī tūfān Talnā chāhtā hai
maiñ ye mahsūs kartā huuñ ki mujh meñ
koī laavā pighalnā chāhtā hai
tirī āñkheñ kahāñ dekhī haiñ us ne
jo kaliyoñ ko masalnā chāhtā hai
hai ghar kā bojh kāñdhe par magar vo
khulī chhat par Tahalnā chāhtā hai
zamīñ par reñgne vaalā bhī mujh se
bahut aage nikalnā chāhtā hai
hamare sath chalna chahta hai
wo ab kapDe badalna chahta hai
use phulon se hai koi shikayat
wo angaron pe chalna chahta hai
Thahar jate hain palkon par sitare
koi tufan Talna chahta hai
main ye mahsus karta hun ki mujh mein
koi lawa pighalna chahta hai
teri aankhen kahan dekhi hain us ne
jo kaliyon ko masalna chahta hai
hai ghar ka bojh kandhe par magar wo
khuli chhat par Tahalna chahta hai
zamin par rengne wala bhi mujh se
bahut aage nikalna chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.