hamare sath jo ye kar-e-zindagani hai
hamāre saath jo ye kār-e-zindagānī hai
kisī bhaTaktī huī ruuh kī kahānī hai
kaheñge laakh magar māntī nahīñ duniyā
hamārā hāsil-e-guftār rā.egānī hai
badan ḳhudā ne tarāshā hai aur lafzoñ meñ
jo naqsh ham ne ubhārā hai naqsh-e-sānī hai
ye iztirāb achānak nahīñ milā dil ko
kisī udaas mulāqāt kī nishānī hai
baras rahe haiñ jo bādal unheñ kahāñ mā'lūm
hamārī aañkh meñ sahrā kī hukmrānī hai
kuchh aise log bhī haiñ 'umr ke tasalsul meñ
ki jin ke dam se mire saañs meñ ravānī hai
hamare sath jo ye kar-e-zindagani hai
kisi bhaTakti hui ruh ki kahani hai
kahenge lakh magar manti nahin duniya
hamara hasil-e-guftar raegani hai
badan KHuda ne tarasha hai aur lafzon mein
jo naqsh hum ne ubhaara hai naqsh-e-sani hai
ye iztirab achanak nahin mila dil ko
kisi udas mulaqat ki nishani hai
baras rahe hain jo baadal unhen kahan ma'lum
hamari aankh mein sahra ki hukmrani hai
kuchh aise log bhi hain 'umr ke tasalsul mein
ki jin ke dam se mere sans mein rawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.