hamare sath mazi ke kai qisse nikal aae
hamāre saath maazī ke ka.ī qisse nikal aa.e
bahut se dost dushman mārne marne nikal aa.e
palaTtā dekh kar manzil ne yuuñ āvāz dī ham ko
purāne rāstoñ meñ se na.e raste nikal aa.e
kiyā thā saaf ham ne rāsta ashjār kaTvā kar
kahāñ se rokne ko rāsta patte nikal aa.e
hamārī niiñd se jab vāpsī mumkin huī yaaro
khulā ham par ki ham to sub.h se aage nikal aa.e
hamāre saath 'jāzib' qāfila niklā thā jo us meñ
bahut se ajnabī the aur kuchh apne nikal aa.e
hamare sath mazi ke kai qisse nikal aae
bahut se dost dushman marne marne nikal aae
palaTta dekh kar manzil ne yun aawaz di hum ko
purane raston mein se nae raste nikal aae
kiya tha saf hum ne rasta ashjar kaTwa kar
kahan se rokne ko rasta patte nikal aae
hamari nind se jab wapsi mumkin hui yaro
khula hum par ki hum to subh se aage nikal aae
hamare sath 'jazib' qafila nikla tha jo us mein
bahut se ajnabi the aur kuchh apne nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.