hamare sath zamana kiya kare kuchh bhi
hamāre saath zamāna kiyā kare kuchh bhī
zarā malāl na ho tū na gar kahe kuchh bhī
vo aur vaqt the jab intiḳhāb mumkin thā
kareñge ahl-e-hunar kaam ab mile kuchh bhī
nahīñ hai vaqt mire paas har kisī ke liye
mirī balā se vo hote hoñ aap ke kuchh bhī
jo merā haq hai mujhe vo to dījiye sāhab
talab kiyā nahīñ maiñ ne janāb se kuchh bhī
zarā sī baat pe terā ye haal hai 'bāsir'
abhī to maiñ ne batāyā nahīñ tujhe kuchh bhī
hamare sath zamana kiya kare kuchh bhi
zara malal na ho tu na gar kahe kuchh bhi
wo aur waqt the jab intiKHab mumkin tha
karenge ahl-e-hunar kaam ab mile kuchh bhi
nahin hai waqt mere pas har kisi ke liye
meri bala se wo hote hon aap ke kuchh bhi
jo mera haq hai mujhe wo to dijiye sahab
talab kiya nahin main ne janab se kuchh bhi
zara si baat pe tera ye haal hai 'basir'
abhi to main ne bataya nahin tujhe kuchh bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.