hamare sar pe koi hath tha na saya tha
hamāre sar pe koī haath thā na saaya thā
bas āsmāñ thā jise jaane kyuuñ banāyā thā
kisī se shām-Dhale chhin gayā thā pāya-e-taḳht
kisī ne sub.h huī aur taḳht paayā thā
vo ek sub.h bahut zar-fishāñ thī qarye par
aur ek khet bahut sabz lahlahāyā thā
bas ek baaġh thā paanī ke jis meñ chashme the
aur ek ghar thā jise ḳhaak se banāyā thā
pukār uTTheñge nābūd bastiyoñ ke nishāñ
ki us navāh meñ koī nazīr aayā thā
hamare sar pe koi hath tha na saya tha
bas aasman tha jise jaane kyun banaya tha
kisi se sham-Dhale chhin gaya tha paya-e-taKHt
kisi ne subh hui aur taKHt paya tha
wo ek subh bahut zar-fishan thi qarye par
aur ek khet bahut sabz lahlahaya tha
bas ek bagh tha pani ke jis mein chashme the
aur ek ghar tha jise KHak se banaya tha
pukar uTThenge nabud bastiyon ke nishan
ki us nawah mein koi nazir aaya tha
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 161)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
- Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.