Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai

Nabeel Ahmad Nabeel

hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai

Nabeel Ahmad Nabeel

MORE BYNabeel Ahmad Nabeel

    hamāre sar pe ye aksar ġhazab hotā rahtā hai

    lahū ummīd ham se talab hotā rahtā hai

    nikaltī nahīñ dil se kabhī yādeñ mohabbat

    sitam us dil pe apne roz-o-shab hotā rahtā hai

    purāne log rahte haiñ nigāhoñ meñ sadā merī

    koī pesh-e-nazar nām-o-nasab hotā rahtā hai

    koī sūrat tabāhī nikaltī rahtī hai aksar

    ujaḌne koī taaza sabab hotā rahtā hai

    hamesha ḳhuun karte haiñ hamārī ārzūoñ

    tamannāoñ nazrāna talab hotā rahtā hai

    ye laḌnā aur jhagaḌnā hai sabhī ma.amūl bāteñ

    ḳhafā ham se vo aksar be-sabab hotā hotā hai

    sitāroñ taraf uThtī rahtī hai nazar apnī

    shab-e-tārīk meñ aisā to sab hotā rahtā hai

    qayāmat hotī rahtī hai bapā ab shahr meñ har-sū

    yahāñ mahshar bapā ai dost ab hotā rahtā hai

    suḳhan pāmāl hotā hai 'nabīl' is ahd meñ har pal

    yahāñ pāmāl har lamha adab hotā rahtā hai

    hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai

    lahu ummid ka hum se talab hota hi rahta hai

    nikalti hi nahin dil se kabhi yaaden mohabbat ki

    sitam us dil pe apne roz-o-shab hota hi rahta hai

    purane log rahte hain nigahon mein sada meri

    koi pesh-e-nazar nam-o-nasab hota hi rahta hai

    koi surat tabahi ki nikalti rahti hai aksar

    ujaDne ka koi taza sabab hota hi rahta hai

    hamesha KHun karte hain hamari aarzuon ka

    tamannaon ka nazrana talab hota hi rahta hai

    ye laDna aur jhagaDna hai sabhi mamul ki baaten

    KHafa hum se wo aksar be-sabab hota hi hota hai

    sitaron ki taraf uThti hi rahti hai nazar apni

    shab-e-tarik mein aisa to sab hota hi rahta hai

    qayamat hoti rahti hai bapa ab shahr mein har-su

    yahan mahshar bapa ai dost ab hota hi rahta hai

    suKHan pamal hota hai 'nabil' is ahd mein har pal

    yahan pamal har lamha adab hota hi rahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now