hamare shahr ki KHamoshiyan nirali hain
hamāre shahr kī ḳhāmoshiyāñ nirālī haiñ
sukūn-baḳhsh haiñ chehre magar savālī haiñ
kuchh aise fan se mirī jur.atoñ ko chhīnā hai
shikāyateñ jo mire lab pe haiñ ḳhayālī haiñ
zamāne vaale ajab imtihān lete haiñ
junūn de ke mire zabt ke savālī haiñ
vo chand bāteñ jo ahl-e-suḳhan ke nashtar thiiñ
tumhārī bazm ke māhaul meñ chhupā lī haiñ
maiñ apne sar ko bachāne kahāñ kahāñ jā.ūñ
ye rāheñ saarī hī maqtal ko jaane vaalī haiñ
ham apne zehn pe vo zaḳhm sah chuke 'shāhid'
davā.eñ jin kī zamāne ne ab nikālī haiñ
hamare shahr ki KHamoshiyan nirali hain
sukun-baKHsh hain chehre magar sawali hain
kuchh aise fan se meri juraton ko chhina hai
shikayaten jo mere lab pe hain KHayali hain
zamane wale ajab imtihan lete hain
junun de ke mere zabt ke sawali hain
wo chand baaten jo ahl-e-suKHan ke nashtar thin
tumhaari bazm ke mahaul mein chhupa li hain
main apne sar ko bachane kahan kahan jaun
ye rahen sari hi maqtal ko jaane wali hain
hum apne zehn pe wo zaKHm sah chuke 'shahid'
dawaen jin ki zamane ne ab nikali hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.