hamare sheron mein jo log Dhalne lagte hain
hamāre sheroñ meñ jo log Dhalne lagte haiñ
hamārī zaat se kyūñkar vo jalne lagte haiñ
ajiib baat hai tum saath chal nahīñ paate
hamāre saath to raste bhī chalne lagte haiñ
tumhārī aañkh kisī aur samt uThne se
hazār ḳhadshe yahāñ dil meñ palne lagte haiñ
tumhārī izzat-o-takrīm ke liye aksar
ham apnī zaat kā pahlū badalne lagte haiñ
sitāra-vār ḳhayāloñ ke silsile 'zaryāb'
gumān-o-vaham ke sāñchoñ meñ Dhalne lagte haiñ
hamare sheron mein jo log Dhalne lagte hain
hamari zat se kyunkar wo jalne lagte hain
ajib baat hai tum sath chal nahin pate
hamare sath to raste bhi chalne lagte hain
tumhaari aankh kisi aur samt uThne se
hazar KHadshe yahan dil mein palne lagte hain
tumhaari izzat-o-takrim ke liye aksar
hum apni zat ka pahlu badalne lagte hain
sitara-war KHayalon ke silsile 'zaryab'
guman-o-waham ke sanchon mein Dhalne lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.