hamare sine ke wast mein aur hi faza hai
hamāre siine ke vast meñ aur hī fazā hai
vahāñ ruteñ aur haiñ jahāñ ḳhatt-e-istavā hai
umiid ko ḳhauf ḳhauf ko khā rahī hai ġhaflat
ġhizā.ī zanjīr kī tarah dil kā silsila hai
hamāre rone pe hañsne lagte haiñ aane vaale
hamārī dīvār-e-girya dīvār-e-qahqaha hai
tamām aalam phirā huuñ pahuñchā kahīñ nahīñ huuñ
pahuñch mirī nā-rasā.iyoñ kī jagah jagah hai
duā nahīñ qaht meñ zahānat hī kaam aa.ī
ye khet masnūī bārishoñ se harā huā hai
kidhar kidhar se bachā.eñ siine kī sho.alagī ko
badan ke chāroñ taraf hī qutbain kī fazā hai
hamārī āh-o-fuġhāñ kisī tak nahīñ pahuñchtī
ḳhalā meñ saut-o-sadā kī tarsīl mas.ala hai
juḌā hī rahtā hai ḳhāksārī se qalb-e-raushan
qamar hamesha zamīn ke gird ghūmtā hai
ye girya hāsil hai imtizāj-e-nishāt-o-ġham kā
asās-o-tezāb ke amal se namak banā hai
maiñ tujh ko maazī meñ jā ke mumkin hai dekh pā.ūñ
bashar tajāzub kī lahr daryāft kar chukā hai
gunah pe aañsū bahā ke huuñ bāġh-bāġh 'shāhid'
mire siyah pāniyoñ meñ sabza ugā huā hai
hamare sine ke wast mein aur hi faza hai
wahan ruten aur hain jahan KHatt-e-istawa hai
umid ko KHauf KHauf ko kha rahi hai ghaflat
ghizai zanjir ki tarah dil ka silsila hai
hamare rone pe hansne lagte hain aane wale
hamari diwar-e-girya diwar-e-qahqaha hai
tamam aalam phira hun pahuncha kahin nahin hun
pahunch meri na-rasaiyon ki jagah jagah hai
dua nahin qaht mein zahanat hi kaam aai
ye khet masnui barishon se hara hua hai
kidhar kidhar se bachaen sine ki shoalagi ko
badan ke chaaron taraf hi qutbain ki faza hai
hamari aah-o-fughan kisi tak nahin pahunchti
KHala mein saut-o-sada ki tarsil masala hai
juDa hi rahta hai KHaksari se qalb-e-raushan
qamar hamesha zamin ke gird ghumta hai
ye girya hasil hai imtizaj-e-nishat-o-gham ka
asas-o-tezab ke amal se namak bana hai
main tujh ko mazi mein ja ke mumkin hai dekh paun
bashar tajazub ki lahr daryaft kar chuka hai
gunah pe aansu baha ke hun bagh-bagh 'shahid'
mere siyah paniyon mein sabza uga hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.