hamare waste koi masiha ho nahin sakta
hamāre vāste koī masīhā ho nahīñ saktā
tirā bīmār iisā se bhī achchhā ho nahīñ saktā
vo kaise log haiñ jo dūsroñ par takiya karte haiñ
hameñ to apne dil par bhī bharosā ho nahīñ saktā
nazar-bāzī se Darte ho to mere dil meñ aa baiTho
ki is parde se behtar aur pardā ho nahīñ saktā
liyā hai dil mirā us ne vo mujh ko pher de be-shak
magar maiñ kyā karūñ mujh se taqāzā ho nahīñ saktā
vahī qātil sahī aur ḳhuun bhī nāhaq sahī merā
magar mujh se to ai 'gustāḳh' da.avā ho nahīñ saktā
hamare waste koi masiha ho nahin sakta
tera bimar isa se bhi achchha ho nahin sakta
wo kaise log hain jo dusron par takiya karte hain
hamein to apne dil par bhi bharosa ho nahin sakta
nazar-bazi se Darte ho to mere dil mein aa baiTho
ki is parde se behtar aur parda ho nahin sakta
liya hai dil mera us ne wo mujh ko pher de be-shak
magar main kya karun mujh se taqaza ho nahin sakta
wahi qatil sahi aur KHun bhi nahaq sahi mera
magar mujh se to ai 'gustaKH' dawa ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.