hamare zaKHm ka bharna bahut zaruri hai
hamāre zaḳhm kā bharnā bahut zarūrī hai
ab eqtidār meñ hissa bahut zarūrī hai
lahū hamārā bahut bah chukā hai dhartī par
ab inqalāb kā aanā bahut zarūrī hai
badan pe ḳhuub hai parde kā ehtimām magar
nazar meñ sharm kā parda bahut zarūrī hai
bahut ziyāda ḳhushī bhī maza nahīñ detī
diloñ se dard kā rishta bahut zarūrī hai
jo chāhte ho mohabbat meñ puḳhtagī aa.e
kisī se mil ke bichhaḌnā bahut zarūrī hai
mire baġhair tirā zikr nā-mukammal hai
diye kī lau pe patangā bahut zarūrī hai
jalā rahā hai gharoñ ko jo be-sabab 'dīdār'
ab us charāġh kā bujhnā bahut zarūrī hai
hamare zaKHm ka bharna bahut zaruri hai
ab eqtidar mein hissa bahut zaruri hai
lahu hamara bahut bah chuka hai dharti par
ab inqalab ka aana bahut zaruri hai
badan pe KHub hai parde ka ehtimam magar
nazar mein sharm ka parda bahut zaruri hai
bahut ziyaada KHushi bhi maza nahin deti
dilon se dard ka rishta bahut zaruri hai
jo chahte ho mohabbat mein puKHtagi aae
kisi se mil ke bichhaDna bahut zaruri hai
mere baghair tera zikr na-mukammal hai
diye ki lau pe patanga bahut zaruri hai
jala raha hai gharon ko jo be-sabab 'didar'
ab us charagh ka bujhna bahut zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.