hamare zauq par ye waqt agar aaya to kya hoga
hamāre zauq par ye vaqt agar aaya to kyā hogā
nazar meñ jazb ho kar vo nazar aaya to kyā hogā
ġham-e-hastī kā taarā auj par aaya to kyā hogā
hañsī meñ bhī koī aañsū ubhar aaya to kyā hogā
udhar taare idhar kaliyāñ haiñ masrūf-e-girāñ-ḳhvābī
agar aise meñ paiġhām-e-sahar aaya to kyā hogā
ye ḳhālī jaam rakkheñge bharam kab tak tirā saaqī
jo maiḳhāne meñ koī dīda-var aaya to kyā hogā
tumhārā ġham ġham-e-ālam kī surḳhī ban to saktā hai
koī dhabba agar tārīḳh par aaya to kyā hogā
chale to haiñ talāsh-e-āstāñ meñ ai 'shifā' ham bhī
magar apnā hī pahle sang-e-dar aayā to kyā hogā
hamare zauq par ye waqt agar aaya to kya hoga
nazar mein jazb ho kar wo nazar aaya to kya hoga
gham-e-hasti ka tara auj par aaya to kya hoga
hansi mein bhi koi aansu ubhar aaya to kya hoga
udhar tare idhar kaliyan hain masruf-e-giran-KHwabi
agar aise mein paigham-e-sahar aaya to kya hoga
ye KHali jam rakkhenge bharam kab tak tera saqi
jo maiKHane mein koi dida-war aaya to kya hoga
tumhaara gham gham-e-alam ki surKHi ban to sakta hai
koi dhabba agar tariKH par aaya to kya hoga
chale to hain talash-e-astan mein ai 'shifa' hum bhi
magar apna hi pahle sang-e-dar aaya to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.