hamare zehn pe tari hai bebasi ab tak
hamāre zehn pe taarī hai bebasī ab tak
ki puurī ho nahīñ paa.ī tirī kamī ab tak
tumhāre ba.ad mire zaḳhm bharnā duur kī baat
tumhāre ba.ad udāsī nahīñ ga.ī ab tak
bahut purānā ta.alluq ye un parindoñ se
magar maiñ samjhī nahīñ un kī dostī ab tak
kisī ke saath ne jiine kā hausla baḳhshā
isī liye maiñ na kar paa.ī ḳhud-kushī ab tak
tumhāre ba.ad kahīñ aur dil lagānā thā
tumhāre ba.ad ye mohlat nahīñ milī ab tak
tumhāre ba.ad ujāle se ho ga.ī thī chiḌh
hamārī aañkh ko rotī hai raushnī ab tak
ham aise log jo andar se mar chuke kab ke
hamārī laash hī dhartī pe hai dharī ab tak
hamare zehn pe tari hai bebasi ab tak
ki puri ho nahin pai teri kami ab tak
tumhaare baad mere zaKHm bharna dur ki baat
tumhaare baad udasi nahin gai ab tak
bahut purana talluq ye un parindon se
magar main samjhi nahin un ki dosti ab tak
kisi ke sath ne jine ka hausla baKHsha
isi liye main na kar pai KHud-kushi ab tak
tumhaare baad kahin aur dil lagana tha
tumhaare baad ye mohlat nahin mili ab tak
tumhaare baad ujale se ho gai thi chiDh
hamari aankh ko roti hai raushni ab tak
hum aise log jo andar se mar chuke kab ke
hamari lash hi dharti pe hai dhari ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.