hamare zehn se bas ye pareshani nahin jati
hamāre zehn se bas ye pareshānī nahīñ jaatī
hamārī baat sach ho kar bhī kyoñ maanī nahīñ jaatī
pata bhī hai tumheñ kuchh ai mere pahchānñe vaalo
ye vo sūrat hai jo mujh se bhī pahchānī nahīñ jaatī
kisī kā dil dukhānā bhī kabhī achchhā nahīñ hotā
hazāroñ koshisheñ kar lo pashemānī nahīñ jaatī
ḳhudā ko bhuul kar tum kis liye maġhrūr baiThe ho
tumhāre sar se kyoñ ye ḳhabt-e-sultānī nahīñ jaatī
hazāroñ Thokareñ khāte haiñ girte haiñ sañbhalte haiñ
magar phir bhī ka.ī logoñ kī nādānī nahīñ jaatī
hamare zehn se bas ye pareshani nahin jati
hamari baat sach ho kar bhi kyon mani nahin jati
pata bhi hai tumhein kuchh ai mere pahchanne walo
ye wo surat hai jo mujh se bhi pahchani nahin jati
kisi ka dil dukhana bhi kabhi achchha nahin hota
hazaron koshishen kar lo pashemani nahin jati
KHuda ko bhul kar tum kis liye maghrur baiThe ho
tumhaare sar se kyon ye KHabt-e-sultani nahin jati
hazaron Thokaren khate hain girte hain sanbhalte hain
magar phir bhi kai logon ki nadani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.