hamari aankh mein manzar tumhaare raushan hain
hamārī aañkh meñ manzar tumhāre raushan haiñ
ki jaise niile falak par sitāre raushan haiñ
kisī ne aag lagā.ī hai Thahre paanī meñ
sulag rahā hai samundar kināre raushan haiñ
ye saut hai ki 'alāmat hai sham'-e-mahfil kī
ye lafz haiñ ki na.e isti'āre raushan haiñ
sañbhal ke mujh ko qadam rakhnā hoñge duniyā meñ
kināya-kār hai vo aañkh ishāre raushan hai
kahīñ kahīñ to vo lau sar uThāne lagtī hai
kabhī kabhī to ye lagtā hai saare raushan haiñ
kisī ne jhoñk diyā hai badan kī dozaḳh meñ
tamām sho'le tamāmī sharāre raushan haiñ
mujhe jalānā nahīñ paḌtā apnā dil 'zahrāb'
ḳhudā kā shukr hai mere nazāre raushan haiñ
hamari aankh mein manzar tumhaare raushan hain
ki jaise nile falak par sitare raushan hain
kisi ne aag lagai hai Thahre pani mein
sulag raha hai samundar kinare raushan hain
ye saut hai ki 'alamat hai sham'-e-mahfil ki
ye lafz hain ki nae isti'are raushan hain
sanbhal ke mujh ko qadam rakhna honge duniya mein
kinaya-kar hai wo aankh ishaare raushan hai
kahin kahin to wo lau sar uThane lagti hai
kabhi kabhi to ye lagta hai sare raushan hain
kisi ne jhonk diya hai badan ki dozaKH mein
tamam sho'le tamami sharare raushan hain
mujhe jalana nahin paDta apna dil 'zahrab'
KHuda ka shukr hai mere nazare raushan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.