hamari aankh se baDh kar udas koi nahin
hamārī aañkh se baḌh kar udaas koī nahīñ
magar qabīle meñ chehra-shanās koī nahīñ
‘asā-e-mūsā zarā ek zarb siine par
ubalte chashmoñ ko rāh-e-nikās koī nahīñ
akelā maiñ hī nahīñ peḌ bhī pareshāñ haiñ
yahāñ kī āb-o-havā sab ko raas koī nahīñ
utar to jā.egī mujh meñ shu'ā' andar tak
siyāh aa.ine se in’ikās koī nahīñ
akele-pan kā jo dukh hai use miTāne ko
milūñgā aaj ḳhudā se ki paas koī nahīñ
hamari aankh se baDh kar udas koi nahin
magar qabile mein chehra-shanas koi nahin
‘asa-e-musa zara ek zarb sine par
ubalte chashmon ko rah-e-nikas koi nahin
akela main hi nahin peD bhi pareshan hain
yahan ki aab-o-hawa sab ko ras koi nahin
utar to jaegi mujh mein shu'a' andar tak
siyah aaine se in’ikas koi nahin
akele-pan ka jo dukh hai use miTane ko
milunga aaj KHuda se ki pas koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.