hamari aapsi ranjish jo pahle thi so ab bhi hai
hamārī aapsī ranjish jo pahle thī so ab bhī hai
magar milne kī bhī ḳhvāhish jo pahle thī so ab bhī hai
maiñ apnī zid pe qaa.em huuñ magar us ko batā denā
vo samjhaute kī gunjā.ish jo pahle thī so ab bhī hai
vo dīvāroñ meñ chunvāne kā manzar ab nahīñ dikhtā
mohabbat par magar bandish jo pahle thī so ab bhī hai
hazāroñ Thokareñ rāh-e-vafā meñ khā chukā lekin
dil-e-nādān kī laġhzish jo pahle thī so ab bhī hai
sunā kar saarī ġhazloñ kā zaḳhīra thak gayā 'kāshif'
magar logoñ kī farmā.ish jo pahle thī so ab bhī hai
hamari aapsi ranjish jo pahle thi so ab bhi hai
magar milne ki bhi KHwahish jo pahle thi so ab bhi hai
main apni zid pe qaem hun magar us ko bata dena
wo samjhaute ki gunjaish jo pahle thi so ab bhi hai
wo diwaron mein chunwane ka manzar ab nahin dikhta
mohabbat par magar bandish jo pahle thi so ab bhi hai
hazaron Thokaren rah-e-wafa mein kha chuka lekin
dil-e-nadan ki laghzish jo pahle thi so ab bhi hai
suna kar sari ghazlon ka zaKHira thak gaya 'kashif'
magar logon ki farmaish jo pahle thi so ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.