hamari aql par tale paDe hain
hamārī aql par taale paḌe haiñ
khañDar hai zehn aur jaale paḌe haiñ
ba-zāhir saaf aate haiñ nazar dil
magar andar se ye kaale paḌe haiñ
kabhī dekho palaT kar āstīñ ko
ka.ī hī saañp ham paale paḌe haiñ
mayassar kaise ho do vaqt roTī
ki jab ik vaqt ke laale paḌe haiñ
kareñ ḳhud hī ḳhizāoñ ke havāle
chaman ke aise rakhvāle paḌe haiñ
bahut royā judā ho kar vo shāyad
tabhī to aañkh meñ haale paḌe haiñ
dahakte rāste par chal paḌe the
abhī tak paañv meñ chhāle paḌe haiñ
luTā sakte haiñ ulfat meñ vo jāneñ
bahut ai 'sād' matvāle paḌe haiñ
hamari aql par tale paDe hain
khanDar hai zehn aur jale paDe hain
ba-zahir saf aate hain nazar dil
magar andar se ye kale paDe hain
kabhi dekho palaT kar aastin ko
kai hi sanp hum pale paDe hain
mayassar kaise ho do waqt roTi
ki jab ek waqt ke lale paDe hain
karen KHud hi KHizaon ke hawale
chaman ke aise rakhwale paDe hain
bahut roya juda ho kar wo shayad
tabhi to aankh mein haale paDe hain
dahakte raste par chal paDe the
abhi tak panw mein chhaale paDe hain
luTa sakte hain ulfat mein wo jaanen
bahut ai 'sad' matwale paDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.