hamari baada-kashi se waqif nahin hai shayad abhi zamana
hamari baada-kashi se waqif nahin hai shayad abhi zamana
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
hamārī bāda-kashī se vāqif nahīñ hai shāyad abhī zamāna
ham ek sāġhar meñ jab bhī chāheñ Dubo ke rakh deñ sharāb-ḳhāna
tumhārī nazar-e-karam kā saaya rahe jo yuuñ mujh pe ġhā.ebāna
maiñ pher duuñ hādsoñ ke ruḳh hī maiñ rok duuñ gardish-e-zamāna
jo tum chalo jhuum uTheñ fazā.eñ ruko to ruk jaa.e nabz-e-ālam
jahāñ tum apnī nazar jhukā do vahīñ Thahar jā.egā zamāna
nigāh-e-maḳhmūr kī vo mastī chhuḌā de rindoñ se mai-parastī
jise nigāhoñ se tum pilā do vo bhuul jaa.e sharāb-ḳhāna
ye husn vaale jafā ke māhir vafā kī taskīn de rahe haiñ
fareb kitnā hai ḳhūbsūrat hasīn hai kis qadar bahāna
abhī to dil meñ tumhārī yādoñ kī mash.aleñ jal rahī haiñ paiham
charāġh-e-dāġh-e-jigar haiñ raushan sajā huā hai ġharīb-ḳhāna
diyā hai jo da.avat-e-nazāra to tāb-e-nazzārgī bhī de do
vagarna ahl-e-jahāñ na dohrā.eñ phir vahī tuur kā fasāna
havā.eñ kuchh garm ho rahī haiñ sab apne dāman bachā.e rakkheñ
kahīñ 'sharar' kī zarā sī laġhzish na phūñk de ye nigār-ḳhāna
hamari baada-kashi se waqif nahin hai shayad abhi zamana
hum ek saghar mein jab bhi chahen Dubo ke rakh den sharab-KHana
tumhaari nazar-e-karam ka saya rahe jo yun mujh pe ghaebana
main pher dun hadson ke ruKH hi main rok dun gardish-e-zamana
jo tum chalo jhum uThen fazaen ruko to ruk jae nabz-e-alam
jahan tum apni nazar jhuka do wahin Thahar jaega zamana
nigah-e-maKHmur ki wo masti chhuDa de rindon se mai-parasti
jise nigahon se tum pila do wo bhul jae sharab-KHana
ye husn wale jafa ke mahir wafa ki taskin de rahe hain
fareb kitna hai KHubsurat hasin hai kis qadar bahana
abhi to dil mein tumhaari yaadon ki mashalen jal rahi hain paiham
charagh-e-dagh-e-jigar hain raushan saja hua hai gharib-KHana
diya hai jo dawat-e-nazara to tab-e-nazzargi bhi de do
wagarna ahl-e-jahan na dohraen phir wahi tur ka fasana
hawaen kuchh garm ho rahi hain sab apne daman bachae rakkhen
kahin 'sharar' ki zara si laghzish na phunk de ye nigar-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.