hamari baat mein sun dam ka ramz haiga kya
hamārī baat meñ sun dam kā ramz haigā kyā
kisī bhī pech kisī ḳham kā ramz haigā kyā
vo daur aur thā jab tum ne mujh se pūchhā thā
mohabbatoñ meñ kahīñ ġham kā ramz haigā kyā
ye āb-e-sāda ye āb-e-ravāñ ye āb-e-azal
is āb-e-nāb meñ zamzam kā ramz haigā kyā
falak pe abr bhī anjum bhī abr-e-bārāñ bhī
magar zamīñ pe jhamā-jham kā ramz haigā kyā
na koī tishna-labī hai na koī sairābī
to mere jaam tire jam kā ramz haigā kyā
usī ke dam se baqā hai usī ke dam se fanā
fanā-baqā meñ batā dam kā ramz haigā kyā
'anīs' raqs meñ tum ho ki raqs hai tum meñ
ki āḳhirash ye damādam kā ramz haigā kyā
hamari baat mein sun dam ka ramz haiga kya
kisi bhi pech kisi KHam ka ramz haiga kya
wo daur aur tha jab tum ne mujh se puchha tha
mohabbaton mein kahin gham ka ramz haiga kya
ye aab-e-sada ye aab-e-rawan ye aab-e-azal
is aab-e-nab mein zamzam ka ramz haiga kya
falak pe abr bhi anjum bhi abr-e-baran bhi
magar zamin pe jhama-jham ka ramz haiga kya
na koi tishna-labi hai na koi sairabi
to mere jam tere jam ka ramz haiga kya
usi ke dam se baqa hai usi ke dam se fana
fana-baqa mein bata dam ka ramz haiga kya
'anis' raqs mein tum ho ki raqs hai tum mein
ki aaKHirash ye damadam ka ramz haiga kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.