hamari chah sahab jaante hain
hamārī chaah sāhab jānte haiñ
kahūñ kyā aah sāhab jānte haiñ
jalānā āshiqoñ kā jaan ai jaañ
qayāmat vaah sāhab jānte haiñ
bhalā dene kī zulfoñ meñ diloñ ko
nirālī raah sāhab jānte haiñ
tumhārī mast āñkhoñ se hai be-ḳhud
jise āgāh sāhab jānte haiñ
tumhāre mukhḌe kī zarra jhalak hai
ki jis ko maah sāhab jānte haiñ
milo ham se vagarna phir kisī roz
kabhī nāgāh sāhab jānte haiñ
'muhib' be-tarah kuchh tum se kahegā
vahī tiir aah sāhab jānte haiñ
hamari chah sahab jaante hain
kahun kya aah sahab jaante hain
jalana aashiqon ka jaan ai jaan
qayamat wah sahab jaante hain
bhala dene ki zulfon mein dilon ko
nirali rah sahab jaante hain
tumhaari mast aankhon se hai be-KHud
jise aagah sahab jaante hain
tumhaare mukhDe ki zarra jhalak hai
ki jis ko mah sahab jaante hain
milo hum se wagarna phir kisi roz
kabhi nagah sahab jaante hain
'muhib' be-tarah kuchh tum se kahega
wahi tir aah sahab jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.