hamari chaal ulTi paD gai ustad
hamārī chaal ulTī paḌ ga.ī ustād
davā hāthoñ banā.ī laḌ ga.ī ustād
koī sarsabz aayat mujh pe dam kar de
mare ruḳh se vo sūrat jhaḌ ga.ī ustād
ḳhudā ke ḳhauf se murjhā ga.e chehre
hamārī fasal ugte saḌ ga.ī ustād
kisī āvāz se niklī huī kirchī
mare andarūñ kahīñ par gaḌ ga.ī ustād
kisī be-samt-jānib bhāgtī hairat
mirā but tāqche meñ jaḌ ga.ī ustād
hamārā ḳhvāb āñkheñ le gayā 'rāshid'
hameñ duniyā dikhā.ī paḌ ga.ī ustād
hamari chaal ulTi paD gai ustad
dawa hathon banai laD gai ustad
koi sarsabz aayat mujh pe dam kar de
mare ruKH se wo surat jhaD gai ustad
KHuda ke KHauf se murjha gae chehre
hamari fasal ugte saD gai ustad
kisi aawaz se nikli hui kirchi
mare andarun kahin par gaD gai ustad
kisi be-samt-jaanib bhagti hairat
mera but taqche mein jaD gai ustad
hamara KHwab aankhen le gaya 'rashid'
hamein duniya dikhai paD gai ustad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.