hamari chhat pe bhi suraj ka intizam hua
hamārī chhat pe bhī sūraj kā intizām huā
ye aur baat ki ye kaam vaqt-e-shām huā
uThe raqīb to phir mujh se baiThne ko kahā
tumhārī bazm meñ yuuñ merā ehtirām huā
safar meñ tum se kināra kiyā tumhāre liye
magar bichhaḌne kā afsos gaam gaam huā
ki jaise DaañT de koī yatīm bachche ko
hamārī hasrat-e-dil kā yuuñ iḳhtitām huā
hamāre dil ko dikhā.ī ga.ī na.ī duniyā
kuchh is tarah ye parinda bhī zer-e-dām huā
bichhaḌ ke tujh se hunar shā'irī kā siikh liyā
yuuñ ahl-e-dard ke jiine kā intizām huā
hamari chhat pe bhi suraj ka intizam hua
ye aur baat ki ye kaam waqt-e-sham hua
uThe raqib to phir mujh se baiThne ko kaha
tumhaari bazm mein yun mera ehtiram hua
safar mein tum se kinara kiya tumhaare liye
magar bichhaDne ka afsos gam gam hua
ki jaise DanT de koi yatim bachche ko
hamari hasrat-e-dil ka yun iKHtitam hua
hamare dil ko dikhai gai nai duniya
kuchh is tarah ye parinda bhi zer-e-dam hua
bichhaD ke tujh se hunar sha'iri ka sikh liya
yun ahl-e-dard ke jine ka intizam hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.