Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamari haq-nawai kya

Faragh Rohvi

hamari haq-nawai kya

Faragh Rohvi

MORE BYFaragh Rohvi

    hamārī haq-navā.ī kyā

    sunegī ye ḳhudā.ī kyā

    kisī zill-e-ilāhī tak

    mirī hogī rasā.ī kyā

    falak se jab utar aa.e

    safar karte ḳhalā.ī kyā

    anā ke sāmne terī

    hamārī kaj-adā.ī kyā

    tumhārī zulf-e-pechāñ se

    milegī ab rihā.ī kyā

    'farāġh' us nigāhoñ meñ

    lahū kyā raushnā.ī kyā

    hamari haq-nawai kya

    sunegi ye KHudai kya

    kisi zill-e-ilahi tak

    meri hogi rasai kya

    falak se jab utar aae

    safar karte KHalai kya

    ana ke samne teri

    hamari kaj-adai kya

    tumhaari zulf-e-pechan se

    milegi ab rihai kya

    'faragh' us ki nigahon mein

    lahu kya raushnai kya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now