hamari KHak-e-afsurda sar-e-ku-e-butan rakh di
hamārī ḳhāk-e-afsurda sar-e-kū-e-butāñ rakh dī
kahāñ kī chiiz thī tū ne kahāñ ai āsmāñ rakh dī
sitam hai kaaT kar shāḳh-e-nasheman bāġhbāñ rakh dī
miTā kar tū ne buniyād-e-bahār-e-gulsitāñ rakh dī
na sahrā meñ nishāñ apnā na gulshan meñ patā apnā
chhupā kar musht-e-ḳhāk apnī ye vahshat ne kahāñ rakh dī
guloñ ke saath kāñTe bhī lagā.e jis ne siine se
usī Daalī pe gulshan meñ binā-e-āshiyāñ rakh dī
nidā aa.ī ki har sajda yahāñ maqbūl hotā hai
ḳhudā jaane mohabbat meñ jabīñ ham ne kahāñ rakh dī
ḳhayāloñ meñ samā kar guftugū karne lagī ham se
'musavvir' ne tirī tasvīr ke muñh meñ zabāñ rakh dī
hamari KHak-e-afsurda sar-e-ku-e-butan rakh di
kahan ki chiz thi tu ne kahan ai aasman rakh di
sitam hai kaT kar shaKH-e-nasheman baghban rakh di
miTa kar tu ne buniyaad-e-bahaar-e-gulsitan rakh di
na sahra mein nishan apna na gulshan mein pata apna
chhupa kar musht-e-KHak apni ye wahshat ne kahan rakh di
gulon ke sath kanTe bhi lagae jis ne sine se
usi Dali pe gulshan mein bina-e-ashiyan rakh di
nida aai ki har sajda yahan maqbul hota hai
KHuda jaane mohabbat mein jabin hum ne kahan rakh di
KHayalon mein sama kar guftugu karne lagi hum se
'musawwir' ne teri taswir ke munh mein zaban rakh di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.