hamari KHalwaton ki dhun dar-o-diwar sunte hain
hamārī ḳhalvatoñ kī dhun dar-o-dīvār sunte haiñ
chaman ke rang-o-bū kī bandishoñ ko ḳhaar sunte haiñ
havā sargoshiyāñ kartī hai jo chiḌiyoñ ke kānoñ meñ
use uḌte hue rañgīn gul par-dār sunte haiñ
havā.eñ hādsoñ ke jo ishāre le ke aatī haiñ
unheñ ham ansunā kar deñ magar ashjār sunte haiñ
sabhī sunte haiñ ghar meñ sirf apnī-apnī dilchaspī
dhañsakte bām-o-dar kī siskiyāñ me.amār sunte haiñ
zabāñ jo dil meñ rahtī hai kabhī lab par nahīñ aatī
use koī nahīñ suntā magar fankār sunte haiñ
hamari KHalwaton ki dhun dar-o-diwar sunte hain
chaman ke rang-o-bu ki bandishon ko KHar sunte hain
hawa sargoshiyan karti hai jo chiDiyon ke kanon mein
use uDte hue rangin gul par-dar sunte hain
hawaen hadson ke jo ishaare le ke aati hain
unhen hum ansuna kar den magar ashjar sunte hain
sabhi sunte hain ghar mein sirf apni-apni dilchaspi
dhansakte baam-o-dar ki siskiyan meamar sunte hain
zaban jo dil mein rahti hai kabhi lab par nahin aati
use koi nahin sunta magar fankar sunte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.