hamari khiDki mein aa gaya hai
hamārī khiḌkī meñ aa gayā hai
ye chāñd kab se yahīñ paḌā hai
jo apnī kashtī Duubo rahā hai
ka.ī dinoñ nāḳhudā rahā hai
jise nayā sab batā rahe haiñ
tamāsha pahle kiyā gayā hai
makāñ Dhahā hai abhī ye jā kar
ka.ī baras ghar basā rahā hai
hameñ yaqīñ thā bahut kisī par
hameñ usī par shub.h huā hai
harā-bharā thā kabhī shajar ye
shajar gharoñdoñ pe aa girā hai
abhī havā.eñ bhī sar-phirī haiñ
abhī december nayā nayā hai
hameñ bhulāne kī kashmakash meñ
vo apne dil se ḳhafā rahā hai
badan jale hai kyoñ bārishoñ meñ
ye buuñd meñ kyā milā huā hai
hameñ suḳhan kī talab rahī hai
hameñ suḳhan kā nasha rahā hai
vo jis ne ham ko zamīñ nahīñ dī
hameñ falak se girā rahā hai
hamari khiDki mein aa gaya hai
ye chand kab se yahin paDa hai
jo apni kashti Dubo raha hai
kai dinon naKHuda raha hai
jise naya sab bata rahe hain
tamasha pahle kiya gaya hai
makan Dhaha hai abhi ye ja kar
kai baras ghar basa raha hai
hamein yaqin tha bahut kisi par
hamein usi par shubh hua hai
hara-bhara tha kabhi shajar ye
shajar gharondon pe aa gira hai
abhi hawaen bhi sar-phiri hain
abhi december naya naya hai
hamein bhulane ki kashmakash mein
wo apne dil se KHafa raha hai
badan jale hai kyon barishon mein
ye bund mein kya mila hua hai
hamein suKHan ki talab rahi hai
hamein suKHan ka nasha raha hai
wo jis ne hum ko zamin nahin di
hamein falak se gira raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.