hamari mohabbat numu se nikal kar kali ban gai thi magar thi numu mein
hamari mohabbat numu se nikal kar kali ban gai thi magar thi numu mein
Imran Shamshad Narmi
MORE BYImran Shamshad Narmi
hamārī mohabbat numū se nikal kar kalī ban ga.ī thī magar thī numū meñ
nigāhoñ se bāteñ kiye jā rahe the aTaktī jhijaktī huī guftugū meñ
na de ham ko ilzām tū ye ki ham ne tirī chaah meñ kuchh kiyā hī nahīñ hai
makāñ khod Daale zamāñ noch Daale kahāñ aa ga.e ham tirī justujū meñ
mujhe ye milā hai mujhe vo milā hai mujhe sab milā hai magar ye gila hai
maiñ kyā māñgtā thā ye kyā mil gayā hai ki sab mil gayā hai tirī aarzū meñ
kahīñ ḳhushbuoñ kī zarūrat paḌī to tumheñ soch kar saañs khīñche ga.e haiñ
na jaane kahāñ se chalī aa rahī hai ye ḳhushbū tumhārī hamāre lahū meñ
bhaTaktā phirā maiñ idhar se udhar aur udhar se idhar aur kidhar se kidhar
dhuāñ-dār mahfil na jaam o subū meñ maza jo hai vo hai faqat apnī ḳhū meñ
hamari mohabbat numu se nikal kar kali ban gai thi magar thi numu mein
nigahon se baaten kiye ja rahe the aTakti jhijakti hui guftugu mein
na de hum ko ilzam tu ye ki hum ne teri chah mein kuchh kiya hi nahin hai
makan khod Dale zaman noch Dale kahan aa gae hum teri justuju mein
mujhe ye mila hai mujhe wo mila hai mujhe sab mila hai magar ye gila hai
main kya mangta tha ye kya mil gaya hai ki sab mil gaya hai teri aarzu mein
kahin KHushbuon ki zarurat paDi to tumhein soch kar sans khinche gae hain
na jaane kahan se chali aa rahi hai ye KHushbu tumhaari hamare lahu mein
bhaTakta phira main idhar se udhar aur udhar se idhar aur kidhar se kidhar
dhuan-dar mahfil na jam o subu mein maza jo hai wo hai faqat apni KHu mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.