hamari nind mein koi sarab-e-KHwab bhi nahin
hamārī niiñd meñ koī sarāb-e-ḳhvāb bhī nahīñ
ye kaisā regzār hai fareb-e-āb bhī nahīñ
the kaise kaise log mere ḳhema-e-ḳhayāl meñ
ga.e dinoñ kī ḳhair ho ki ab tanāb bhī nahīñ
ye hādisa ki barf-bārīyoñ kī zad pe aa ga.e
magar ye vāqi.a lahū meñ koī taab bhī nahīñ
na kuchh gila na iltifāt-e-hijr kī siyāh raat
farāmushī kā daur hai ki ab 'azāb bhī nahīñ
ye lamha lamha zindagī kuchh is tarah se kaT ga.ī
kahāñ pe ḳharch kyā huā koī hisāb bhī nahīñ
hamari nind mein koi sarab-e-KHwab bhi nahin
ye kaisa regzar hai fareb-e-ab bhi nahin
the kaise kaise log mere KHema-e-KHayal mein
gae dinon ki KHair ho ki ab tanab bhi nahin
ye hadisa ki barf-bariyon ki zad pe aa gae
magar ye waqia lahu mein koi tab bhi nahin
na kuchh gila na iltifat-e-hijr ki siyah raat
faramushi ka daur hai ki ab 'azab bhi nahin
ye lamha lamha zindagi kuchh is tarah se kaT gai
kahan pe KHarch kya hua koi hisab bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.