hamari pyas afsana bani hai
hamārī pyaas afsāna banī hai
yahī mauzūa-e-mai-ḳhāna banī hai
hamāre dil kī hālat kaun jaane
hamārī vaz.a shāhāna banī hai
mohabbat ne bhare dil meñ vo sho.ale
zarā sī ḳhaak parvāna banī hai
luTā dī jis pe duniyā vo nazar bhī
hamāre ġham se begāna banī hai
isī duniyā ke ik goshe meñ yā-rab
mirī duniyā judāgāna banī hai
khanaktī gūñjtī tanhā.iyoñ se
hamārī shab parī-ḳhāna banī hai
na pahchānoge tum ye dil kī bastī
tumhāre ba.ad vīrāna banī hai
mohabbat ne diye haiñ ham ko aañsū
yahī do buuñd nazrāna banī hai
ḳhatā kyā ho ga.ī 'masrūr' ham se
ki har har saañs jurmāna banī hai
hamari pyas afsana bani hai
yahi mauzua-e-mai-KHana bani hai
hamare dil ki haalat kaun jaane
hamari waza shahana bani hai
mohabbat ne bhare dil mein wo shoale
zara si KHak parwana bani hai
luTa di jis pe duniya wo nazar bhi
hamare gham se begana bani hai
isi duniya ke ek goshe mein ya-rab
meri duniya judagana bani hai
khanakti gunjti tanhaiyon se
hamari shab pari-KHana bani hai
na pahchanoge tum ye dil ki basti
tumhaare baad virana bani hai
mohabbat ne diye hain hum ko aansu
yahi do bund nazrana bani hai
KHata kya ho gai 'masrur' hum se
ki har har sans jurmana bani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.