hamari qismat mein kya likha hai pata nahin hai
hamārī qismat meñ kyā likhā hai pata nahīñ hai
sunā hai mehnat kā falsafa hai pata nahīñ hai
tū apnī duniyā se merī duniyā bisār baiThā
yā ab bhī mujh meñ hī mubtalā hai pata nahīñ hai
batā ki aurat ke sab masā.il kā hal hai aañsū
yā us kā aañsū hī mas.ala hai pata nahīñ hai
pata nahīñ hai ki ham ko dar-asl kyā pata hai
ki ham ko dar-asl jo pata hai pata nahīñ hai
hamāre aage hazār manzar badal rahe haiñ
ye kin manāzir pe man rukā hai pata nahīñ haiñ
har ik zamān-o-makāñ meñ sach kā badalnā tai hai
so ham ko fil-vaqt jo pata hai pata nahīñ haiñ
hamari qismat mein kya likha hai pata nahin hai
suna hai mehnat ka falsafa hai pata nahin hai
tu apni duniya se meri duniya bisar baiTha
ya ab bhi mujh mein hi mubtala hai pata nahin hai
bata ki aurat ke sab masail ka hal hai aansu
ya us ka aansu hi masala hai pata nahin hai
pata nahin hai ki hum ko dar-asl kya pata hai
ki hum ko dar-asl jo pata hai pata nahin hai
hamare aage hazar manzar badal rahe hain
ye kin manazir pe man ruka hai pata nahin hain
har ek zaman-o-makan mein sach ka badalna tai hai
so hum ko fil-waqt jo pata hai pata nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.