hamari ruh kis darja hai pyasi
hamārī ruuh kis darja hai pyāsī
achānak gher letī hai udāsī
liye phirtī hai saarī raat ham ko
mohabbat hai yā koī bad-havāsī
vo jis fursat meñ tujh ko sochte the
mayassar bhī nahīñ hai ab zarā sī
to kyoñ raaja bane phirte ho bhayyā
kahānī meñ na raanī hai na daasī
yahāñ har chiiz parde meñ hai zāhir
kahāñ jaa.e hamārī be-libāsī
tujhe jaanā to ye jaanā hai ham ne
ta'alluq bhī hai koī ḳhud-shanāsī
hamari ruh kis darja hai pyasi
achanak gher leti hai udasi
liye phirti hai sari raat hum ko
mohabbat hai ya koi bad-hawasi
wo jis fursat mein tujh ko sochte the
mayassar bhi nahin hai ab zara si
to kyon raja bane phirte ho bhayya
kahani mein na rani hai na dasi
yahan har chiz parde mein hai zahir
kahan jae hamari be-libasi
tujhe jaana to ye jaana hai hum ne
ta'alluq bhi hai koi KHud-shanasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.