hamari sada-dili thi tumhaari baat nahin
hamārī sāda-dilī thī tumhārī baat nahīñ
hamīñ meñ koī kamī thī tumhārī baat nahīñ
hamāre apne hī dukh the hamīñ ko ronā thā
tumhārī apnī ḳhushī thī tumhārī baat nahīñ
'azāb saare jujūn-o-ḳhirad ke mere the
tumheñ to be-ḳhabarī thī tumhārī baat nahīñ
tumhārī baat hī māneñge aur nibhā.eñge
ye baat tum ne kahī thī tumhārī baat nahīñ
bahut tavīl thī muddat firāq lamhoñ kī
kahāñ pe aa ke rukī thī tumhārī baat nahīñ
sitāre jaise falak se utar ke aa.e the
hathelī jal ke bujhī thī tumhārī baat nahīñ
vo zikr thā kisī bārish kī raat kā shāyad
nazar meñ aa ke rukī thī tumhārī baat nahīñ
hamari sada-dili thi tumhaari baat nahin
hamin mein koi kami thi tumhaari baat nahin
hamare apne hi dukh the hamin ko rona tha
tumhaari apni KHushi thi tumhaari baat nahin
'azab sare jujun-o-KHirad ke mere the
tumhein to be-KHabari thi tumhaari baat nahin
tumhaari baat hi manenge aur nibhaenge
ye baat tum ne kahi thi tumhaari baat nahin
bahut tawil thi muddat firaq lamhon ki
kahan pe aa ke ruki thi tumhaari baat nahin
sitare jaise falak se utar ke aae the
hatheli jal ke bujhi thi tumhaari baat nahin
wo zikr tha kisi barish ki raat ka shayad
nazar mein aa ke ruki thi tumhaari baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.