hamari subh ka aaghaz bhi misali hai
hamārī sub.h kā āġhāz bhī misālī hai
laboñ pe naam tirā chaa.e kī piyālī hai
phaTe phaTe se haiñ diide darīcha-o-dar ke
ki tāqchoñ ne havāoñ se lau lagā lī hai
vo ġhul machā ki bujhā.e ga.e saroñ ke charāġh
vo shor uThā ki ujāloñ kī pā.emālī hai
hamārā kyā hai ki ham jeb-chāk-o-ḳhāk-badan
mizāj aap kā kaisā janāb-e-‘ālī hai
hamari subh ka aaghaz bhi misali hai
labon pe nam tera chae ki piyali hai
phaTe phaTe se hain dide daricha-o-dar ke
ki taqchon ne hawaon se lau laga li hai
wo ghul macha ki bujhae gae saron ke charagh
wo shor uTha ki ujalon ki paemali hai
hamara kya hai ki hum jeb-chaak-o-KHak-badan
mizaj aap ka kaisa janab-e-‘ali hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 71)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.