hamari tarah huruf-e-junun ke jal mein aa
hamārī tarah hurūf-e-junūñ ke jaal meñ aa
kabhī to jalva-gah-e-nūn-jīm-dāl meñ aa
abhī to gard zamāne kī uḌ rahī hai yahāñ
abhī na misl-e-sabā kūcha-e-ḳhayāl meñ aa
guzar na jaa.e kahīñ ḳhāmushī meñ ye shab bhī
murāqiba to huā ab zarā jalāl meñ aa
tujhe bhī aaj koī ruup baḳhshtā hī chalūñ
tū sañg hai to mire dast-e-bā-kamāl meñ aa
yahāñ zavāl kā manzar bhī lā-zavāl nahīñ
yaqīñ nahīñ to bayābān-e-māh-o-sāl meñ aa
hamari tarah huruf-e-junun ke jal mein aa
kabhi to jalwa-gah-e-nun-jim-dal mein aa
abhi to gard zamane ki uD rahi hai yahan
abhi na misl-e-saba kucha-e-KHayal mein aa
guzar na jae kahin KHamushi mein ye shab bhi
muraqiba to hua ab zara jalal mein aa
tujhe bhi aaj koi rup baKHshta hi chalun
tu sang hai to mere dast-e-ba-kamal mein aa
yahan zawal ka manzar bhi la-zawal nahin
yaqin nahin to bayaban-e-mah-o-sal mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.