hamari tarah sada ek uchhaal kar dekho
Interesting Fact
(Shayar, Bombay)
hamārī tarah sadā ik uchhāl kar dekho
javāb kuchh na milegā savāl kar dekho
hasīn shab se jo sharminda ho ke Duub gayā
nadī se aaj vo sūraj nikāl kar dekho
vo apnī zaat thī jo TuuTī aur nahīñ bikhrī
ye aa.ina hai ise tum sambhāl kar dekho
ġharīb dhuup jo bikhrī paḌī hai kamre meñ
sameTo aur na.e sūraj meñ Dhaal kar dekho
maiñ raushnī huuñ añdherā huuñ dard huuñ kyā huuñ
mire vajūd se mujh ko nikāl kar dekho
hamari tarah sada ek uchhaal kar dekho
jawab kuchh na milega sawal kar dekho
hasin shab se jo sharminda ho ke Dub gaya
nadi se aaj wo suraj nikal kar dekho
wo apni zat thi jo TuTi aur nahin bikhri
ye aaina hai ise tum sambhaal kar dekho
gharib dhup jo bikhri paDi hai kamre mein
sameTo aur nae suraj mein Dhaal kar dekho
main raushni hun andhera hun dard hun kya hun
mere wajud se mujh ko nikal kar dekho
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 92)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.