hamari tarz-e-shikayat kisi ko kya malum
hamārī tarz-e-shikāyat kisī ko kyā ma.alūm
tumhārā rang-e-tabī.at kisī ko kyā ma.alūm
har ek ḳhuun ke qatre meñ hai tirī tasvīr
ye intihā-e-mohabbat kisī ko kyā ma.alūm
hamāre ashk-e-nadāmat piro.e jā.eñge
banegā dāman-e-rahmat kisī ko kyā ma.alūm
jo dil bhī dete haiñ ham naam tak nahīñ lete
hamārī shān-e-muravvat kisī ko kyā ma.alūm
tajalliyoñ ne kiyā intiḳhāb-e-dil merā
mujhe milī hai jo daulat kisī ko kyā ma.alūm
ḳhudā kī yaad meñ har vaqt mahv rahtā hai
dil-e-'shamīm' kī hālat kisī ko kyā ma.alūm
hamari tarz-e-shikayat kisi ko kya malum
tumhaara rang-e-tabiat kisi ko kya malum
har ek KHun ke qatre mein hai teri taswir
ye intiha-e-mohabbat kisi ko kya malum
hamare ashk-e-nadamat piroe jaenge
banega daman-e-rahmat kisi ko kya malum
jo dil bhi dete hain hum nam tak nahin lete
hamari shan-e-murawwat kisi ko kya malum
tajalliyon ne kiya intiKHab-e-dil mera
mujhe mili hai jo daulat kisi ko kya malum
KHuda ki yaad mein har waqt mahw rahta hai
dil-e-'shamim' ki haalat kisi ko kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.