hamari zat ke jab dar khule hain
hamārī zaat ke jab dar khule haiñ
kabhī andar kabhī bāhar khule haiñ
hamāre ghar meñ vo apnā.iyat hai
vahāñ aa kar ka.ī be-ghar khule haiñ
ḳhizāoñ meñ jo Duube the to ham par
bahāroñ ke hasīñ manzar khule haiñ
ba-zāhir vo bahut hī kam suḳhan the
kitāboñ meñ magar jauhar khule haiñ
jo bāloñ meñ safedī aa ga.ī hai
to phir jā kar kahīñ ḳhud par khule haiñ
hamari zat ke jab dar khule hain
kabhi andar kabhi bahar khule hain
hamare ghar mein wo apnaiyat hai
wahan aa kar kai be-ghar khule hain
KHizaon mein jo Dube the to hum par
bahaaron ke hasin manzar khule hain
ba-zahir wo bahut hi kam suKHan the
kitabon mein magar jauhar khule hain
jo baalon mein safedi aa gai hai
to phir ja kar kahin KHud par khule hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.