hamari zat ki tamir hone wali hai
hamārī zaat kī ta.amīr hone vaalī hai
hamāre qatl kī tafsīr hone vaalī hai
bichhā ke baiThā hai har aadmī vajūd apnā
amīr-e-shahr kī taqrīr hone vaalī hai
diyā jalāne kā farmān aa gayā phir se
phir ek raat kī tanvīr hone vaalī hai
mirā zamīr anā par utar gayā jis din
har ek shaḳhs kī tahqīr hone vaalī hai
hamāre ḳhvāb kī ta.abīr ho na ho lekin
kisī kī aañkh kī ta.abīr hone vaalī hai
pahuñch ga.ī hai kamāl-e-shabāb ko ab vo
kisī kī ziist kī taqdīr hone vaalī hai
hamāre mulk ke rahbar tumhārī nā-samjhī
vatan ke paañv kī zanjīr hone vaalī hai
tirī ġhazal pe ai 'tasnīm' log kahte haiñ
tumhārī zaat kī tash.hīr hone vaalī hai
hamari zat ki tamir hone wali hai
hamare qatl ki tafsir hone wali hai
bichha ke baiTha hai har aadmi wajud apna
amir-e-shahr ki taqrir hone wali hai
diya jalane ka farman aa gaya phir se
phir ek raat ki tanwir hone wali hai
mera zamir ana par utar gaya jis din
har ek shaKHs ki tahqir hone wali hai
hamare KHwab ki tabir ho na ho lekin
kisi ki aankh ki tabir hone wali hai
pahunch gai hai kamal-e-shabab ko ab wo
kisi ki zist ki taqdir hone wali hai
hamare mulk ke rahbar tumhaari na-samjhi
watan ke panw ki zanjir hone wali hai
teri ghazal pe ai 'tasnim' log kahte hain
tumhaari zat ki tashhir hone wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.