hamd-e-KHuda-e-pak zaban par jo laen hum
hamd-e-ḳhudā-e-pāk zabāñ par jo laa.eñ ham
yā na.at-e-mustafā meñ agar lab hilā.eñ ham
shart-e-adab yahī hai ki yaaro hazār baar
mushk aur gulāb se ye dahan ko dhulā.eñ ham
jis bārgāh-e-pāk kā darbāñ hai jibra.īl
apne baḌe nasīb vo dar tak bhī jaa.eñ ham
a.amāl-e-bad hamāre bhalā kyā hamārā muñh
hai baat sharm kī vahāñ kyā muñh dikhlā.eñ ham
hai ye baḌā irāda mubārak madīne meñ
rauze ke rū-ba-rū ye qasīda sunā.eñ ham
hamd-e-KHuda-e-pak zaban par jo laen hum
ya nat-e-mustafa mein agar lab hilaen hum
shart-e-adab yahi hai ki yaro hazar bar
mushk aur gulab se ye dahan ko dhulaen hum
jis bargah-e-pak ka darban hai jibrail
apne baDe nasib wo dar tak bhi jaen hum
aamal-e-bad hamare bhala kya hamara munh
hai baat sharm ki wahan kya munh dikhlaen hum
hai ye baDa irada mubarak madine mein
rauze ke ru-ba-ru ye qasida sunaen hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.