hamdam-e-ba-KHabar meri tanhaiyan
hamdam-e-bā-ḳhabar merī tanhā.iyāñ
monis-e-mo'atabar merī rusvā.iyāñ
tañgī-e-arz kā mujh ko shikva hai yuuñ
āsmānoñ kī dekhī haiñ pahnā.iyāñ
meñDakoñ kī tarah uchhle tālāb meñ
nāpte kyā samundar kī gahrā.iyāñ
vo jo uzv-e-badan kī tarah saath the
yaad haiñ aaj bhī un kī parchhā.iyāñ
dānish-o-aql gumrāh kartī rahī
ziist khotī rahī kitnī barnā.iyāñ
hamdam-e-ba-KHabar meri tanhaiyan
monis-e-mo'atabar meri ruswaiyan
tangi-e-arz ka mujh ko shikwa hai yun
aasmanon ki dekhi hain pahnaiyan
meinDakon ki tarah uchhle talab mein
napte kya samundar ki gahraiyan
wo jo uzw-e-badan ki tarah sath the
yaad hain aaj bhi un ki parchhaiyan
danish-o-aql gumrah karti rahi
zist khoti rahi kitni barnaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.