hamdam nahin shafiq nahin chaaragar nahin
hamdam nahin shafiq nahin chaaragar nahin
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
hamdam nahīñ shafīq nahīñ chārāgar nahīñ
ab jī ke kyā kareñge koī ham-safar nahīñ
likhnā hai naama un ko magar kis tarah likheñ
baaqī ab ek qatra-e-ḳhūn-e-jigar nahīñ
har shaḳhs mast-o-be-ḳhud-o-sarshār hai vahāñ
us bazm meñ kisī ko kisī kī ḳhabar nahīñ
kyā jaane us nigāh ne kyā sehr kar diyā
ab apne iḳhtiyār meñ apnī nazar nahīñ
un ke har ik ishāre pe jhuktā hai apnā sar
un kā ye haal hai ki har ik baat par nahīñ
in zulmatoñ se barsar-e-paikār kab talak
shāyad mire nasīb meñ nūr-e-sahar nahīñ
rah rah ke dil meñ hotī hai ai 'dard' ik ḳhalish
ye aur kyā hai dard-e-mohabbat agar nahīñ
hamdam nahin shafiq nahin chaaragar nahin
ab ji ke kya karenge koi ham-safar nahin
likhna hai nama un ko magar kis tarah likhen
baqi ab ek qatra-e-KHun-e-jigar nahin
har shaKHs mast-o-be-KHud-o-sarshaar hai wahan
us bazm mein kisi ko kisi ki KHabar nahin
kya jaane us nigah ne kya sehr kar diya
ab apne iKHtiyar mein apni nazar nahin
un ke har ek ishaare pe jhukta hai apna sar
un ka ye haal hai ki har ek baat par nahin
in zulmaton se barsar-e-paikar kab talak
shayad mere nasib mein nur-e-sahar nahin
rah rah ke dil mein hoti hai ai 'dard' ek KHalish
ye aur kya hai dard-e-mohabbat agar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.