hamdamo lutf-e-shabana ho chuka
hamdamo lutf-e-shabāna ho chukā
aish-o-ishrat kā zamāna ho chukā
ab ġham-o-shādī se āzādī milī
rañj-o-rāhat kā zamāna ho chukā
najd meñ āvāra kyoñ phirtā hai qais
mahmil-e-lailā ravāna ho chukā
manzil-e-dil meñ thiiñ kyā kyā hasrateñ
qāfila ye bhī ravāna ho chukā
zindagī ġham kī kahānī rah ga.ī
aish kā rañgīñ fasāna ho chukā
ho ga.ī vīrāñ vo bazm-e-mai-kada
daur-e-sāġhar kā zamāna ho chukā
ab nahīñ bazm-e-chaman rañgīñ-navā
andalīboñ kā tarāna ho chukā
mutrib-e-ayyām ne badlā hai ThāTh
shauq kā chañg-o-chaġhāna ho chukā
mauj-e-muztar ko huā āḳhir qarār
shor-e-tūfāñ kā zamāna ho chukā
'nāzir' ab zauq-e-nazar be-kār hai
manzar-e-hastī purānā ho chukā
hamdamo lutf-e-shabana ho chuka
aish-o-ishrat ka zamana ho chuka
ab gham-o-shadi se aazadi mili
ranj-o-rahat ka zamana ho chuka
najd mein aawara kyon phirta hai qais
mahmil-e-laila rawana ho chuka
manzil-e-dil mein thin kya kya hasraten
qafila ye bhi rawana ho chuka
zindagi gham ki kahani rah gai
aish ka rangin fasana ho chuka
ho gai viran wo bazm-e-mai-kada
daur-e-saghar ka zamana ho chuka
ab nahin bazm-e-chaman rangin-nawa
andalibon ka tarana ho chuka
mutrib-e-ayyam ne badla hai ThaTh
shauq ka chang-o-chaghana ho chuka
mauj-e-muztar ko hua aaKHir qarar
shor-e-tufan ka zamana ho chuka
'nazir' ab zauq-e-nazar be-kar hai
manzar-e-hasti purana ho chuka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.