hamdard mere kitne nirale hain azizo
hamdard mire kitne nirāle haiñ azīzo
mere liye ye paañv ke chhāle haiñ azīzo
siine pe sināñ hoñToñ pe taale haiñ azīzo
is haal meñ jo ḳhush haiñ jiyāle haiñ azīzo
duniyā meñ muqaddar ke dhanī haiñ to vahī haiñ
kuchh log jinheñ chāhne vaale haiñ azīzo
aġhyār ko mauqa to diyā hī na unhoñ ne
ab tak to ham apnoñ ke nivāle haiñ azīzo
kuchh yuuñ hī nahīñ a.alā dimāġhoñ kī upaj haiñ
duniyā-e-adab meñ jo risāle haiñ azīzo
ham gardish-e-hālāt meñ phañste hī ga.e haiñ
har samt musībat hī ke jaale haiñ azīzo
ye jang nahīñ ma.arka-e-karb-o-balā hai
hamrāh na lashkar na risāle haiñ azīzo
barjasta kuchh aise haiñ ki ghar kar ga.e dil meñ
ash.ār vo 'ahsan' ne nikāle haiñ azīzo
hamdard mere kitne nirale hain azizo
mere liye ye panw ke chhaale hain azizo
sine pe sinan honTon pe tale hain azizo
is haal mein jo KHush hain jiyale hain azizo
duniya mein muqaddar ke dhani hain to wahi hain
kuchh log jinhen chahne wale hain azizo
aghyar ko mauqa to diya hi na unhon ne
ab tak to hum apnon ke niwale hain azizo
kuchh yun hi nahin aala dimaghon ki upaj hain
duniya-e-adab mein jo risale hain azizo
hum gardish-e-haalat mein phanste hi gae hain
har samt musibat hi ke jale hain azizo
ye jang nahin marka-e-karb-o-bala hai
hamrah na lashkar na risale hain azizo
barjasta kuchh aise hain ki ghar kar gae dil mein
ashaar wo 'ahsan' ne nikale hain azizo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.