hamdardi ki zara bhi zarurat nahin mujhe
hamdardī kī zarā bhī zarūrat nahīñ mujhe
ehsāñ koī uThāne kī aadat nahīñ mujhe
haañ lālchī huuñ aur ziyāda kī hai havas
itne qalīl par to qanā.at nahīñ mujhe
darkār thī jo chiiz vo nā-paid ho chukī
vāfir vahī hai jis kī zarūrat nahīñ mujhe
sab kuchh bigāḌ ke hī na rakh duuñ kise ḳhabar
is kaam meñ zarā bhī mahārat nahīñ mujhe
vo baat bas umūmī ravayyoñ ke baare thī
tum se vagarna koī shikāyat nahīñ mujhe
tum hote ho to lagtā hai sab kuchh bharā bharā
jaise kisī bhī chiiz kī qillat nahīñ mujhe
ik raa.e ma.e-dalīl yahāñ pesh karnī hai
maqsūd varna apnī vakālat nahīñ mujhe
ārām hī meñ itnā maiñ mashġhūl huuñ ki ab
aise fuzūl kāmoñ kī fursat nahīñ mujhe
andar to ḳhair duur ki filhāl idhar kahīñ
bāhar bhī baiThne kī ijāzat nahīñ mujhe
har kaam kartā huuñ baḌe ārām se maiñ 'gul'
aur is muāmle meñ to ujlat nahīñ mujhe
hamdardi ki zara bhi zarurat nahin mujhe
ehsan koi uThane ki aadat nahin mujhe
han lalchi hun aur ziyaada ki hai hawas
itne qalil par to qanaat nahin mujhe
darkar thi jo chiz wo na-paid ho chuki
wafir wahi hai jis ki zarurat nahin mujhe
sab kuchh bigaD ke hi na rakh dun kise KHabar
is kaam mein zara bhi mahaarat nahin mujhe
wo baat bas umumi rawayyon ke bare thi
tum se wagarna koi shikayat nahin mujhe
tum hote ho to lagta hai sab kuchh bhara bhara
jaise kisi bhi chiz ki qillat nahin mujhe
ek rae mae-dalil yahan pesh karni hai
maqsud warna apni wakalat nahin mujhe
aaram hi mein itna main mashghul hun ki ab
aise fuzul kaamon ki fursat nahin mujhe
andar to KHair dur ki filhaal idhar kahin
bahar bhi baiThne ki ijazat nahin mujhe
har kaam karta hun baDe aaram se main 'gul'
aur is muamle mein to ujlat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.