hamdardiyan kisi se kisi se dua mili
hamdardiyāñ kisī se kisī se duā milī
yā-rab sila milā hai mujhe yā sazā milī
us aadmī ko jāniye sab kuchh hī mil gayā
jis aadmī ko daulat-e-sharm-o-hayā milī
kuchh logoñ kī shikāyateñ hoñgī bajā magar
ham ko to dostī meñ hamesha vafā milī
pī jaa.eñ ḳhum ke ḳhum hī jo pīr-e-muġhāñ unheñ
paimānoñ meñ sharāb milī bhī to kyā milī
uḌne se rok leñ mirī kamzoriyāñ mujhe
be-shak hazār baar muāfiq havā milī
kis kaam kā vo aadmī is daur meñ jiye
andāz-e-sūfiyāna nazar pārsā milī
vo shaḳhs mo'atabar huā ajmer jo gayā
nadiyā huī nihāl jo gangā meñ jā milī
'parvāz' ḳhush-nasīb hai vo aadmī jise
rahbar milā durust nasīhat bajā milī
hamdardiyan kisi se kisi se dua mili
ya-rab sila mila hai mujhe ya saza mili
us aadmi ko jaaniye sab kuchh hi mil gaya
jis aadmi ko daulat-e-sharm-o-haya mili
kuchh logon ki shikayaten hongi baja magar
hum ko to dosti mein hamesha wafa mili
pi jaen KHum ke KHum hi jo pir-e-mughan unhen
paimanon mein sharab mili bhi to kya mili
uDne se rok len meri kamzoriyan mujhe
be-shak hazar bar muafiq hawa mili
kis kaam ka wo aadmi is daur mein jiye
andaz-e-sufiyana nazar parsa mili
wo shaKHs mo'atabar hua ajmer jo gaya
nadiya hui nihaal jo ganga mein ja mili
'parwaz' KHush-nasib hai wo aadmi jise
rahbar mila durust nasihat baja mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.