hamein aaj tak ajnabi jaante hain
hameñ aaj tak ajnabī jānte haiñ
vo jin ko ham apnā valī jānte haiñ
nahīñ hai jinheñ kuchh patā zarf kyā hai
samundar ko bhī vo nadī jānte haiñ
jo haiñ mohtasib ḳhud hī apne 'amal ke
vahī log apnī ḳhudī jānte haiñ
tasanno' takabbur se jo bhī bachā hai
use ham bhalā aadmī jānte haiñ
hai amn-o-sukūñ bas unhīñ kā muqaddar
jo duniyā ko ik 'ārzī jānte haiñ
milā kartī hai us ko ik roz manzil
jo apnī hī saarī kamī jānte haiñ
zabāñ par sadā haq hī rakhte haiñ 'rahbar'
ḳhamoshī ko ham bebasī jānte haiñ
hamein aaj tak ajnabi jaante hain
wo jin ko hum apna wali jaante hain
nahin hai jinhen kuchh pata zarf kya hai
samundar ko bhi wo nadi jaante hain
jo hain mohtasib KHud hi apne 'amal ke
wahi log apni KHudi jaante hain
tasanno' takabbur se jo bhi bacha hai
use hum bhala aadmi jaante hain
hai amn-o-sukun bas unhin ka muqaddar
jo duniya ko ek 'arzi jaante hain
mila karti hai us ko ek roz manzil
jo apni hi sari kami jaante hain
zaban par sada haq hi rakhte hain 'rahbar'
KHamoshi ko hum bebasi jaante hain
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 39)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.