hamein achchhi nahin lagti zamane ki koi KHushbu
hameñ achchhī nahīñ lagtī zamāne kī koī ḳhushbū
hamāre dil meñ jab se bas ga.ī hai aap kī ḳhushbū
tere hisse kī chīzeñ maiñ kisī ko de nahīñ saktā
tirī ḳhātir hī rakh chhoḌī hai maiñ ne chāñdnī ḳhushbū
tumhāre vāste shā.ir ġhazal kī baat karte haiñ
tumhāre dam se detī hai jahāñ meñ shā.erī ḳhushbū
koī pūchhe to bas ye kah ke tum ḳhāmosh ho jaanā
mohabbat phuul hai aur āftāb-e-āgahī ḳhushbū
tumhāre aur mere darmiyāñ tafrīq ab bhī hai
tumhārī zindagī zahr aur merī zindagī ḳhushbū
hamāre shahr meñ sab nafratoñ ke biij bote haiñ
bas ik 'firdaus' hai jo bāñTtā hai pyaar kī ḳhushbū
hamein achchhi nahin lagti zamane ki koi KHushbu
hamare dil mein jab se bas gai hai aap ki KHushbu
tere hisse ki chizen main kisi ko de nahin sakta
teri KHatir hi rakh chhoDi hai main ne chandni KHushbu
tumhaare waste shair ghazal ki baat karte hain
tumhaare dam se deti hai jahan mein shaeri KHushbu
koi puchhe to bas ye kah ke tum KHamosh ho jaana
mohabbat phul hai aur aaftab-e-agahi KHushbu
tumhaare aur mere darmiyan tafriq ab bhi hai
tumhaari zindagi zahr aur meri zindagi KHushbu
hamare shahr mein sab nafraton ke bij bote hain
bas ek 'firdaus' hai jo banTta hai pyar ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.